Ads 468x60px

April 15, 2020

Ab Yaad Dilayen Kia Tum Ko


Ab Yaad Dilayen Kia Tum Ko
Ye Saal Bhi Aakhir Beet Gaya
Aur Apna Bhi Koi Doosh Nahi
Ye Bazi Bhi Jag Jeet Gaya
Wo Sard Hawain Ab Bhi Hain
Rangeen Fizain Ab Bhi Hain
We Bheege Bheege Pani Ki
Pur Shoor Sadain Ab Bhi Hain
Mein Ab Bhi Udher Ko Jata Hun
Aur Dil Apna Sulgata Hun
Ab Tum Nahi Hote Sath Mere
Aur Hote Hain Khali Haath Mere
Pur Shor Sadain Poochti Hain
Wo Sard Hawain Poochti Hain
Wo Kahan Gaya Sathi Tera?
Kia Phir Ye Zamana Jeet Gaya?
Ye Saal Bhi Aakhir Beet Gaya
Ab Yaad Dilayen Kia Tum Ko




November 9, 2018

Nahi HAi Na Umeed Iqbal Apni Kusht e Weeran Se

9 November Iqbal Day

Nahi HAi Na Umeed Iqbal Apni Kusht e Weeran Se
Zara Num To Ye Mitti Bari Zarkhez Hai Saqi

Apne Kirdaar Pe Daal Ke Parda IQBAL

Apne Kirdaar Pe Daal Ke Parda IQBAL
Har Shakhs Keh Raha Hai Zamana Kharab Hai
9 November Iqbal Day

January 24, 2018

Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
Teri Aankhon Ko Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Tumhara Naam Likhne Ki Ijazat Chhin Gayi Jab Se
Koi Bhi Lafz Likhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Teri Yaadon Ki Khushbu Khirkiyon Mein Raqs Karti hay
Tere Gham Mein Sulagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Main Hans K Jheel Leta Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein
Gale Jab Uss K Lagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Na Jane Ho Gaya Hoon Iss Qadar Hassas Main Kab Se
Kisi Se Baat Karta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Wo Sub Guzre Hue Lamhat Mujh Ko YaadAate Hain
Tumhare Khat Jo Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Main Saara Din Bahot Masroof Rehta Hoon MagarJunhi
Qadam Choukhat Pe Rakhta Hoon Tou aankhen Bheeg Jaati Hain

Bare Logon K Oonche Badnuma Aur Sard Mahlon Ko
Ghareeb Aankhon Se Takta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain



Tere Kooche Se Ab Mera Ta’alluq Wajbi Sa Hay
Magar Jab Bhi Guzarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Hazaron Mausamon Ki Hukmarani Hay Mere Dil Per
Wasi Main Jab Bhi Hansta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain